Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

DroodGroup - Topics
Create Your Own App Store

* DroodGroup > Topics


Subject: **ZAVIA by Ishfaq Ahmed*
Replies: 33 Views: 4015

azure4u 28.05.11 - 03:00pm
2ZJLOMCj7LBjVX7o8J0A.jpg.My fvrt writer....ISHFAQ AHMED...plz read nd if u hav any quot of my fvrt wrtr plz share with me and my frndz in my group *

azure4u 28.05.11 - 03:01pm
Writer, intellectual and playwright Ashfaq Ahmed was born on August 22, 1925 in Muktasar district of Ferozepur in India. Javed Tariq, Mr Ahmeds nephew, told Daily Times that his uncle got his early education at Ferozepur, and then did his BA from La and Masters in Urdu from Government College in La . He started writing stories in his childhood, which were published in Phool magazine.

Ashfaq Ahmed will be long remembered for his prolific contribution as a writer, broadcaster, critic and an*lyst in the countrys intellectual history.

He was a man of scruples, who never discouraged others. He was a humble and contented person and lacked element of arrogance whatsoever. He had his own way of advancing argument and drawing conclusions on complex social issues.

Ashfaq Ahmed Folk Wisdom

*

azure4u 28.05.11 - 03:02pm
The famous writter of Pakistan Ashfaq Ahmed said a sentence for our nation, Jo qaum 2 mint signal par khari nahi ho sakti to wo apne pairo par kya khari hogi.

*

azure4u 28.05.11 - 03:03pm
Ashfaq Ahmed Likhtay Hain
1 Sawal Ne Mujhe Bohat Pareshan Keya,
MOMIN Aur MUSLIM Mein Kya Faraq Hai?
Bohat Logon Se Pucha Lekin Kissi K Jawab Se Mutmin Na Hua,
1 Daffa 1 Village Se Guzra
Dekha K 1 Baba G Gannay Ka Russ Nikaal Rahay Hain
Na Janay Dill Mein Kheyaal Aaya K Inn Se Sawal Poochon
Tou Main Ne Salam Keya Aur Ijazat Lae Kar Sawal Btaaya
He Thought & Replied!
Muslim Wo Hai Jo ALLAH Ko Manta Hai
Aur
Momin Wo Hai Jo ALLAH Ki Manta Hai.

*

azure4u 28.05.11 - 03:07pm
Mere paas 1 billi thi..
Us ko jab bhook lagti thi aa kar mere paown chatti thi.
Aur mein usay khana dey deta tha.
Eik din muje yeh khayal aya k yeh billi mujh se bohat behtar hai.
Is ko pakka yakeen hai ke apnay maalik ke paas se is ki talab poori ho gi,
Aur insan ko is baat ka yaqeen he nahi..
Insan har fikar apnay zimmay ley leta hai.
Un kaamon ki bhi jo us k ikhteyar main nahi hotay.. *

01awan01 28.05.11 - 03:31pm
Masha Allah realy apriciate u bro kafi mehnat hai umeed hai hum is se mustfid honge *

azure4u 28.05.11 - 04:43pm
AshfaQ Ahmed Likhte Hain;
Rome (Italy) Mein Mera Traffic Chalan Hua,
Masroofiat k Baa'is Chalan Fee Time Pe Ada Na kar Saka,
Court Jana Para,
Judge ke Samne Pesh Hua To Usne Wajha Poochi,
Maine kaha ke Professor Hoon,
Bzy esa Raha ke Waqt Hi Na Mila,
Is Se Pehle ke Main Baat Poori karta Judge Ne kaha
A TEACHER IS IN THE COURT
or Sab Log kharay hogae or Mujhse Muafi Mang kar Chalaan Cancel kr diya.
Us Roz Main Us Qaum ki Taraqqi Ka Raz Jan Gaya *

azure4u 28.05.11 - 04:49pm
thnx fr the complmntz.....bro ....ap ka hosla nd sath hy.....ap back krty rehte ho ...thtz y...... *

01awan01 28.05.11 - 05:29pm
welcome.GIF bro mujhe hmesha apne sath pao ge *

01awan01 28.05.11 - 05:45pm
ABA G mujhe marte the to AMI bacha leti thein 1 din men ne socha AGAR AMI PATAI KREN GI TO ABA G KAYA KRAIN GE ye daikhe k lie men ne AMI ka kaha na mana unho ne kaha bazar se dahi la 2 men na laya unho ne salan kam dia men ne zayada pe isras kiya unho ne kaha peeri pe beth k roti khao men zameen pe beth gaya or kapre mailey kr lie mera lahja b gustakhana tha mje puri twaqa ti k ami zaror maren gi magar unho ne mje seene se laga kr kaha KYON PUTAR MAA SADQE BEMAR TO NHI us waqt mere ansu the k rukte hi na the

MOTHERS R EVER GREAT LOVE U MOM *

01awan01 28.05.11 - 05:55pm
Achi bat to sub ko achi lagti hai jub tme kisi ki buri bat b buri na lage to samaj lena tmhe us se MUHABBAT hai

Tajurba insaan ko galat faisle se bachata hai magar tajurba galat fesly se hi hasil hota hai

Izat dil me honi chahie Lafzon me ni NARAZGI lafzon me honi chahie dil me ni

Khush naseeb wo nhi jiska naseeb acha hai Balke khush naseeb wo hai jo apne naseeb par khush hai . *

orchid73 29.05.11 - 02:50pm
Wow Mashallah bro vry btfl thread lve it realy :-) *

orchid73 29.05.11 - 02:51pm
Awan u 2 nice quotes kya baat hai Ashfaq Ahmad saab ki :-) *

01awan01 29.05.11 - 03:17pm
XZW3HpCc3E9Q5hFB2i1F.jpg *

azure4u 30.05.11 - 07:11pm
IBlBXIRmEK4SPPnAVZu3.png *

azure4u 30.05.11 - 07:25pm
plz read k Allah k dye hue sy ap sab do..... *

azure4u 30.05.11 - 07:25pm
gvNSJ6U9vB9CR1YDDx9S.jpg *

01awan01 31.05.11 - 10:35am
ISHFAQ SB NE ZAVIA 2 ME ARZ KIYA HAI K


Men ILAM se itna mutasir nhi hun jitna CHARACTER se hun ILAM KAMTAR cheez hai KARDAR BRI cheez hai Islie SAHIBAN KARDAR k qareeb jate hoe mujhe bra Khouf ata hai SAHIBAN ILAM se itna Khouf nhi ata dar nhi lagta *

01awan01 31.05.11 - 10:49am
Men ne apne aba g se pocha k g ye kyon BECHAINI hai kyon itni PRESHANI hai kyon hum SAKON QALAB k sath or ITMANAN k sath nhi beth sakte to unhon ne kah k daikho tm apni Preshani ki POTLIAN apne samne na rakha karo inhen KHUDA k pas le jaya karo wo inko hal kar de ga tm inhen zor laga k khud hal karne ki koshish karte ho lakin tm inhen hal nhi kr sko ge *

01awan01 31.05.11 - 10:54am
PARINDA islie gata hai k iske pas ek GEET hota hai or hum KHUDA ka zikar islie krte hain k Parinde ki taran hamare pas b uske nam ka Geet hai *

01awan01 31.05.11 - 11:02am
Kehte hain k ek choti Machli ne bri machli se pocha kApa ye SAMANDAR kahan hota hai Us ne kaha jahan tm khari ho ye samandar hai Is ne kaha apne b wohi jahilon wali bat ki ye to Pani hai men to samandar ki talash me hn or men smjti ti k ap bri umar ki hain ap ne bra waqt guzara hai ap mje samandar ka btain gi Wo isko awazain deti rhi k choti machli tehro tehro meri bat sun k jao or smjo k men kya kehna chahti hn lakin us ne palat kr ni daikha or chali gai bri machli ne kaha kKoshish krene ki jadojhd krne ki bhagne ki koi zrort ni hai daikne ki or straight ankon k sath daikne ki zrort hai masle k ander uterne ki zrort hai jb tk tm masle k ander utar kr ni daikho ge tm isi taran bechain o be qarar rho ge or tme samandar nhi mile k ga *

01awan01 31.05.11 - 11:11am
Jab insan Khawish Ki shidhat ko dheela chor kr bgair koi Aalan kiye bgair khat kasheeda kiye ya lain khainche chalta jae ga to pir asani mile gi *

azure4u 2.06.11 - 04:08pm
he sd tht jb hm kisi safae krne wale k pas sy guzrte ya mlte to hm apni nak py hth rakh dte ya aisa bhv krte k wo kam krne wala usy fel krta hm us ko ye realize krate k tm jo kam kr ry wo gatia hy hm tm sy nafrat k waja sy yun bhv kr ry fr exampl agr ak swerg line saf krne wala . . . . .ho nd ap us k pas sy guzrn nd apny nak py kapra ya hth rakhn to kya usy fl nae oga k hm us k kam sy nafrt kr ry . . .Ishfaq ahmed khte k hme chaye k hm un k pas sy unhn aprciat krte hue guzrn . .ta k wo apny kam ko gatia na smjhe agr hme wo boo tng kr ri to hme apna sans rok k guzr jana chaye par unhn ehsas nae one dna chaye. . . *

01awan01 4.06.11 - 09:39pm
GREAT WRITER ASHFAQ AHMED KEHTE HAIN

Ek bat zindagi bhar yad rakna kisi ko Dhoka na dena Dhoke me bri jan hoti hai ye kbi marta nhi ghom phir kar ek din wapis apke pas hi pohanch jata hai kyon k is ko apne thikane se bohat MUHABBAT hoti hai *

01awan01 12.06.11 - 03:12pm
Ashfaq Sahab : Baba ji
yeh musalman kon hota he ?

Baba ji : Musalman woh
hota hai jis ka dil saf ho aur hath gandey .. ...

Asfaq Sahab : Hath
gandey se kia matlab

Baba ji : dekh beta jab tum apne bhai k kaam aao
ge us k aansoo poncho gey us to tumahre hath
gandey to hon ge na or yehi ek musalman ki shan
hai k woh apne bhai k kaam ata hai. *

tahzeb 13.06.11 - 07:42am
good...saeed mene kbi is writer ko na parha and sund tha but i can say he is great....smile.GIF bht ache khas kr k italy wala...! *

01awan01 13.06.11 - 11:11am
agar aap zameen pe kharay hon to aap ko pahar (mountains) bohat achay lagtay hein or zameen buri lagti hay, lekin agar ap kabi kisi pahar per jain ( like
murree ) or wahan se zameen dekhein to apko nechay ka manzar bara acha lagay ga ..

Bilkul isi tarah humein lagta
hay k humari zindagi bari mushkil hay, or hum se ziada pareshan shayed hi koi ho. .

lekin

jab hum aisa sochtay hein to
hum zameen pe kharay hotay hein, thora oper ja kar , apnay se nichlay darjay kay logon ko dekhein , apko zindagi khoobsorat lagay gi.

(from prog. zavia ) *

01awan01 13.06.11 - 08:24pm
SHUT THE DOOR BEHIND U

ap ne ye jumla bohat dafa suna hoga bt ye socha ap ne k drwaza kyon band krun TANDI HAWA NA AE YA KOI JANWAR ANDAR AA JAE GA

BT

iska falsafa bht mukhtlif hai or ye k apna darwaza ,apna wajod mazi k oper band krdo ap mazi me se nikal ain hain or is jaga par ab hal me dakhil ho gae hain mazi se hr qisam ka taluq kat do or bhol jao k tm ne kaisa mazi guzara hai or ab tm ek new mustaqbil me dakhil ho gae ho.Ek drwaza tmare age khulne wala hai agr wohi(piche wala door) khula rahe ga to tm palat kr piche ki taraf hi daikte raho ge *

01awan01 13.06.11 - 08:29pm
Momin wo hai jo mazi ki yad me mubtla na ho or mustaqbil se khoufzada na ho wo hal me zinda ho so hm sb ko ye koshish zaror krni chahie k mazi ka picha chor den *

01awan01 15.06.11 - 08:09pm
ASHFAQ AHMAD WARAQ KII
KITABQALAMII DUSHMANII SAY IQTIBAS :

Kehtay hain, baray darekht k
neechay chota darekht nahein ugg sakta.haalaan-k chotay darekht k neechay bara darekht bhii nahein
ugg sakta


*jo shakhs kaheen jaraha hay, wo ikk muqam per aa bhi raha hay

*jab aap cherhaaee
cherhengay to thakan bhii saath cherhaygii,mager jab wapis utrengay to akelay hongay


*auqaat badalnay k saath saath auqat bhi badal jati hay


*amooman her peda honay wala bacha sir k bal aata hay mager chalta hamesha pairon k bal hay


*koee cheez jitnii paktii jaey, usay pakana utna hii
mushkill hota hay


*kisii ka sun,na aur bat hay, kisii ko batana aur bat hay


*her sirkaree mulazim ko zaleel hona perta hay jab
k her zaleel ko sirkarii mulazim nahein hona perta


*mithay k phal (fruit) kii khas bat ye hay k wo meetha nahein hota


*bazzar say soda lanay k liyey sirf peson kii hii nahein bal-k thelay(bag) kii bhii zaroorat hoti hay * *

01awan01 17.06.11 - 03:19pm
Kaisa Tu Musalmaan Hai?

FAJAR : Neend Mein
ZOHAR : College Ya Job Mein
ASAR : Araam Mein
MAGHRIB : Kaam Mein
ISHA : TV Mein
JUMMAH K Sirf Doh Rakaat Wo Bhi Duniya Ke Khayal Mein
Agar Koi Tahajjud Padhta Hai ToYe Bahut Tajjub Ki Baat Samajhte Hain!

Yaad Rahe Qabar Main Sabse Pehele Jo Sawal Ho ga
Wo Namaz Hi Ke Bare Main
Hoga.

Aap Sabse Guzarish Hai Ke Apne MominBhaiyon Aur
Baheno Ko Namaz Ki Dawat
Dein.Insha allah Allah Say Ap Ko Is Ka Ajar Milega *

01awan01 17.06.11 - 03:34pm
Insan 2 cheezo sa hmesha harta hai

WAQAT OR PAYAR

dono zingdi ma khas hain

waqt kisi ka nhe hota
or
pyar har kisi sa nhe hota *

01awan01 18.06.11 - 02:44pm
Woh faqeer jis ne duniya se kinara kashi ker li iski zarah baraber naiki ki ALLAH TALLAH k haa bht zeyadah qader ho gi..

Wo faqer bht bra zaleel hai jo maaldaaro ki chaaplosi kray

or

sab se bra BAzurg woh hai jo logo k saath achay ikhlaaq se paish aye *

01awan01 18.06.11 - 02:51pm
3 Cheezein Insaan ko Allah se Dur kerti hain.

1: Apne Aamal ko Ziyada Samjhna.

2: Apne Gunahoon ko bhul jana.

3: Apne Apko Sabse Behtar samajhna. *


* Reply
* DroodGroup Forum


Search:
topics replies


* DroodGroup

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store